Chahat e dil hai kisi shokh ka chehra dekho
Aql ki zid hai ki rangeeni e duniya dekho
Aql ki zid hai ki rangeeni e duniya dekho
Waqt par peeth dikhate heN lahoo ke rishte
Kis tarah hota hai apna bhi paraya dekho
Kis tarah hota hai apna bhi paraya dekho
Yaad rakkho ki yehi hona hai anjaam e hayat
Jab bhi dhalti hui shamoN ka dhuNdhalka dekho
Jab bhi dhalti hui shamoN ka dhuNdhalka dekho
BaDh ke kar dena kisi bujhte diye ko roshan
Apni aNkhoN se agar door ujala dekho
Apni aNkhoN se agar door ujala dekho
'Hadi' har samt he ik aalam e nafsa nafsi
Har taraf jese qayamat si he barpa dekho
-----------------------------------------------
Har taraf jese qayamat si he barpa dekho
-----------------------------------------------
चाहत ए दिल है किसी शोख का चेहरा देखो
अक्ल की ज़िद है कि रंगीनी ए दुनिया देखो
वक्त पर पीठ दिखाते हैं लहू के रिश्ते
किस तरह होता है अपना भी पराया देखो
याद रक्खो कि येही होना है अंजाम ए हयात
जब भी ढलती हुई शामों का धुंधलका देखो
बढ़के कर देना किसी बुझते दिए को रोशन
अपनी आँखों से अगर दूर उजाला देखो
"हादी " हर सम्त है इक आलम ए नफ़सा नफ़सी
हर तरफ जैसे क़यामत सी है बरपा देखो
No comments:
Post a Comment