शायर क्लब और मेरे सरपरस्त हज़रत शमीम फारूकी साहब के इंतकाल पर मेरे ताआस्सुरात
---------------------------------------------------------------------------------------------------
हुआ है रूह पे हालात का असर अब के
हमीं को काट रहा है हमारा घर अब के
कहा किसी ने कि हज़रत शमीम अब न रहे
दिलो दिमाग़ को झूठी लगी खबर अब के
जहाँ से वापसी मुमकिन नहीं मुसाफिर की
चुना शमीम ने उस राह का सफर अब के
बिलखता छोड़ गए हैं शमीम फारूकी
न खुश्क होंगे ये दामान ओ चश्मेतर अब के
वो जिसने लोगों को मंजिल से हमकिनार किया
हुआ निगाह से ओझल वो राहबर अब के
वो एक चाँद सा चेहरा वो चांदनी जुल्फें
कहाँ तलाश करेगी उसे नज़र अब के
ज़माना लाख फरिश्ता कहे उसे "हादी"
यही कहूँगा मैं गुज़रा है इक बशर अब के
Hua hai ro"oh pe haalaat ka asar ab ke
humiN ko kaat raha hai hamara ghar ab ke
Kaha kisi ne ki Hazrat Shamin ab na rahe
dilo dimaagh ko jhuthi lagi khabar ab ke
JahaN se waapsi Mumkin nahiN musaafir ki
Chuna shamim ne us raah ka safar ab ke
Bilakhta chhodh gaye haiN Shamim Farooqui
Na khushk hoNge ye Damaan o chashmetar ab ke
Wo jisne logoN ko manzil se hamkinaar kiya
Hua nigaah se ojhal wo Raahbar ab ke
Wo Ek ChaaNd sa chehra wo chaNdni zulfeN
KahaN talaash karegi use nazar ab ke
Zamana laakh farishta kahe usey "Haadi"
Yahi kahuNga maiN guzra hai ik bashar ab ke

2 comments:
bahut khoob aapke ashaar .....Shamim saheb ek aala darje ke shayar the .fb pe kai baras se jude the hmse
Bahut shukria Poonam Matia sahiba
Post a Comment