Friday, 27 December 2013

हम देते रहे हैं सदा पैगामे मुहब्बत

Kehta he zamana hameN naakam e muhabbat--
HaNs haNs ke sahe ham ne jo aalaam e muhabbat-- 

Nafrat ko kabhi dil meiN basaya nahiN humne
Hum dete rahe haiN sada paigham e mohabbat --

Hai aaj bhi dil ko unhiN zakhmoN se sarokar
Samjha he unheN aaj bhi inaam e muhabbat--

Ik cheez he aisi jo chupaye na chhupegi
Wo naam e muhabbat he aji naam e mohabbat --

Aashiq ne kafan pehna he duniya ki nazar meN
"Haadi" ki nazar meN he ye ehraam e muhabbat--
-------------------------------------------------------------
कहता है ज़माना हमें नाकामे मुहब्बत
हंस हंस के सहे हमने जो आलामे मुहब्बत

नफरत को कभी दिल में बसाया नहीं हमने
हम देते रहे हैं सदा पैगामे मुहब्बत

है आज भी दिल को उन्हीं ज़ख्मों से सरोकार
समझा है उन्हें आज भी इनामे मुहब्बत

इक चीज़ है ऐसी जो छुपाये न छुपेगी
वो नामे मुहब्बत है अजी नामे मुहब्बत

आशिक ने कफन पहना है दुनिया की नज़र में
"हादी " की नज़र में है ये एहरामे मुहब्बत

Friday, 13 December 2013

Hota nahin kisi ko sakhawat pe aitraaz

Hota nahin kisi ko sakhawat pe aitraaz
Karte haiN log sirf khasasat pe aitraaz
Wo log jinko apni sharafat pe naaz tha
Karte haiN dusroN ki sharafat pe aitraaz

Waakif nahiN haiN jo abhi mazhab ke naam se

Karna lage haiN wo bhi shariyat pe aitraaz

Insaaf kar na paye jo mazlumiyat ke saath

Har shakhs ko hai aisi adalat pe aitraaz

GumnamiyoN se khush they jo mere rafiqe qaar

Hota hai ab unheN meri shohrat pe aitraaz

Wo jisne nafrateN hi virasat meiN payi haiN

KyuN ho na usko lafze mohabbat pe aitraaz

Ban jaye aadmi ke dikhawe ka jo sabab

Allah ko hai aisi ibadat pe aitraaz

Ta umr baaghiyana rawish per adey rahe

“Hadi” unheN hai khud se baghawat pe aitraaz
-----------------------------------------------------

होता नहीं है किसी को सखावत पे ऐतराज़

करते हैं लोग सिर्फ खसासत पे ऐतराज़

वो लोग जिनको अपनी शराफत पर नाज़ था

करते हैं दूसरों की  शराफत पे ऐतराज़

वाकिफ नहीं हैं जो अभी मज़हब के नाम से

करने लगे हैं वो भी शरियत पे ऐतराज़

इन्साफ कर न पाए जो मजलुमियत के साथ

हर शख्स को है ऐसी अदालत पे ऐतराज़

गुमनामियों से खुश थे जो मेरे रफीके कार

होता है अब उन्हें मेरी शोहरत पे ऐतराज़

वो जिसने नफरतें ही विरासत में पायीं हैं

क्यूँ हो न उसको लफ्जे मोहब्बत पे ऐतराज़

बन जाये आदमी के दिखावे का जो सबब

अल्लाह को है ऐसी इबादत पे ऐतराज़

ता उम्र बागियाना रवीश पर अड़े रहे

“हादी” उन्हें है खुद से बगावत पे ऐतराज़