Pur kaif zindagi hai, magar pur khatar bhi hai,
KhushiyoN ke sath sath ghamoN ka asar bhi hai,
KhushiyoN ke sath sath ghamoN ka asar bhi hai,
Toota nahiN hai tujh se muhabbat ka silsila,
wabasta teri zaat se dil bhi.... nazar bhi hai
wabasta teri zaat se dil bhi.... nazar bhi hai
Paida huye haiN mujh meiN bhi aasaar e zindagi,
Kuchh kuchh suboot e zindagi zahir udhar bhi hai
Kuchh kuchh suboot e zindagi zahir udhar bhi hai
Naakaam ho na jaayeN teri chara saaziyaaN
Ik zakhm dil ke saath hi zakhm e jigar bhi hai
Ik zakhm dil ke saath hi zakhm e jigar bhi hai
Too Maa'ng to raha hai khushi ki dua magar
Ye sun khushi ka daur buhat mukhtasar bhi hai
Ye sun khushi ka daur buhat mukhtasar bhi hai
Ye dar hai sang saar na ho jaye phir kahiN
Tanha wahi darakht hai jo ba samar bhi hai
Tanha wahi darakht hai jo ba samar bhi hai
Jee chahta hai aag laga dooN jahaaN ko maiN
Ye namuraad jaise koyi fitnagar bhi hai
Ye namuraad jaise koyi fitnagar bhi hai
Phir kyuN na aasmaan chhuyeN teri shohrateN
Bhai mire too abn e "Shameem o Zafar" bhi hai
Bhai mire too abn e "Shameem o Zafar" bhi hai
KyuN kar kaho, Na naaz karooN "Abba Jaan" par
Jo shahar unka hai wahi mera nagar bhi hai
Jo shahar unka hai wahi mera nagar bhi hai
"Hadi" tire sukhan meiN kyuN aaye na pukhtagi
"Saalim Shuja_a jesa tira raahbar bhi hai
"Saalim Shuja_a jesa tira raahbar bhi hai
पुरकैफ़ ज़िंदगी है , मगर पुर खतर भी है
खुशियों के साथ साथ ग़मों का असर भी है
टूटा नहीं है तुझसे मुहब्बत का सिलसिला
वाबस्ता तेरी ज़ात से दिल भी ... नज़र भी है
पैदा हुए हैं मुझ में भी आसारे ज़िंदगी
कुछ कुछ सुबूते ज़िंदगी ज़ाहिर उधर भी है
नाकाम हो न जाएँ तेरी चारा साज़ियाँ
इक ज़ख्म दिल के साथ ही ज़ख्मे जिगर भी है
तू मांग तो रहा है ख़ुशी की दुआ मगर
ये सुन ख़ुशी का दौर बुहत मुख़्तसर भी है
ये डर है संग सार न हो जाये फिर कहीं
तनहा वही दरख़्त है जो बा समर भी है
जी चाहता है आग लगा दूं जहाँ को मैं
ये नामुराद जैसे कोई फ़ितनागर भी है
फिर क्यूँ न आसमान छुएं तेरी शोहरतें
भाई मिरे तू अबन ए शमीम ओ ज़फर भी है
क्यूँ कर कहो , न नाज़ करून अब्बा जान पर
जो शहर उनका है वही मेरा नगर भी है
"हादी" तेरे सुखन में क्यूँ आये न पुख्तगी
सालिम शुजाअ जैसा तेरा राहबर भी है