Saturday, 22 September 2012

"जज़्बए दिल उभार लेते काश"


Jazba -e -dil ubhaar lete kaash
Woh mujhe bhi dulaar lete kaash

Band kamre me'n siskiyaaN bhar kar
Bojh dil KA utaar lete kaash

DostoN ne to nafrateN baatiN
dushmanoN ka hi pyaar lete kaash

Zindagi bhar sabab talaash kiya
be sabab hi guzaar lete kaash

Kar ke kuchh ka'ar e khair DuniyaaN meiN
Aakhirat hi saNwaar lete kaash

Hum to apni hi dhun meiN they lekin
Tum hi humko pukaar lete kaash

Ishq karke yahi sabaq paya
Umr tanha guzaar lete kaash

Us ke tarkash meiN teer baaqi they
Aur ek dil udhaar lete kaash

Kuchh to rakhte bharam shuja_at ka
Apne seene pe waaar lete kaash

Zindgi meiN kabhi na dukh aate
sukh meiN rab ko pukaar lete kaash

Maah e RamzaaN mein rehmateN barsiN
Hum bhi daaman pasaar lete kaash

ManzileN chhomtiN qadam "Haadi"
Sar pe gard o ghubaar lete kaash
______________________ 
Hadi Javed

जज़्बए दिल उभार लेते काश
वोह मुझे भी दुलार लेते काश


बंद कमरे में सिसकियाँ भरकर
बोझ दिल का उतार लेते काश


दोस्तों ने तो नफरतें बांटीं
दुश्मनों का ही प्यार लेते काश


जिंदगी भर सबब तलाश किया
बेसबब ही गुज़ार लेते काश


कर के कुछ कारे खैर दुनियां में
आखिरत ही संवार लेते काश


हम तो अपनी ही धुन में थे लेकिन
तुम ही हमको पुकार लेते काश


इश्क करके यही सबक पाया 
उम्र तनहा गुज़ार लेते काश


उसके तरकश में तीर बाक़ी थे 
और एक दिल उधार लेते काश


कुछ तो रखते भरम शुजाअत का
अपने सीने पे वार लेते काश


जिंदगी में कभी न दुःख आते
सुख में रब को पुकार लेते काश


माह ए रमजाँ में रहमतें बरसीं 
हम भी दामन पसार लेते काश


मंजिलें चूमतीं क़दम हादी 
सर पे गर्दो गुबार लेते काश

Tuesday, 5 June 2012

जिंदगी मौत से भी सस्ती है

Har taraf aag si barasti hai
Zindgi Saaye ko tarasti hai

Din nigalta hai azdahe ki tarah
Raat naagin si mujhko dansti hai

KoshisheN sharmsaar haiN mujhse 
Meri taqdeer mujhpe haNsti hai 

Tere peroN meiN hai faraaz mera
mere kaandhe pe meri pasti hai

Zindgi pa ke ye sabaq payaa
zindgi maut se bhi sasti hai

Jism ka zaum toot jaata hai
qabr jab baazuoN meiN kasti hai

Sehma sehma hai shehre dil "Hadi"
Ujdi ujdi si dil ki basti hai 

Zindgi pa ke ye sabaq payaa
zindgi maut se bhi sasti hai

Jism ka zaum toot jaata hai
qabr jab baazuoN meiN kasti hai

Sehma sehma hai shehre dil "Hadi"
Ujdi ujdi si dil ki basti hai



---------------------------------


हर तरफ आग सी बरसती है 
जिंदगी साये को तरसती है 

दिन निगलता है अजदहे की तरह 
रात नागिन सी मुझको डंसती है 

कोशिशें शर्मसार हैं मुझसे 
मेरी तकदीर मुझपे हँसती है 

तेरे पैरों में है फराज़ मेरा 
मेरे काँधे पे मेरी पस्ती है 

जिंदगी पा के ये सबक पाया 
जिंदगी मौत से भी सस्ती है 

जिस्म का जौम टूट जाता है 
कब्र जब बाजुओं में कसती है 

सहमा सहमा है शहरे दिल "हादी "
उजड़ी उजड़ी सी दिल की बस्ती है

Friday, 23 March 2012

बाद मरने के मिरी लाश पर .. अहसाँ होना



बाद मरने के मिरी लाश पर .. अहसाँ होना 
क़त्ल करके मुझे, कातिल का पशेमाँ होना

लोग मजबूर हैं हालात की ...... मज़बूरी से 
चाहता कौन है दुनियां में ........परीशाँ होना

अक्स उभरा है तिरा याद के ........आईने में
हो मुबारक मिरे एहसास ......का उरयाँ होना 

याद आती है रिफ़ाकत में...... तिरी चारागरी 
दिल के रिसते हुए ज़ख्मों का .नमकदां होना 

घोल दी वक्त ने शबनम के प्यालों में ..शराब 
ग़मे दोरां में मुलव्विस ग़मे जानाँ .......होना 

गुल खिलाएगा यकीनन नया..... 'हादी ' कोई 
एक मजलूम पे ज़ालिम का ....बहीख्वाँ होना  

Baad marne ke miri laash per......... ahsaaN hona
Qatl karke mujhe, qaatil ka.......pashemaaN hona

Log majboor haiN haalaat ki............. majburi se
Chahta kaun hai duniyaaN meiN parishaaN hona

Aqs ubhra hai tira yaad ke .............aaiyne meiN
Ho mubarak mire ehsaas ka ...........uryaaN hona

Yaad aati hai Rifaqat meiN tiri .............charagari
Dil ke riste huey zakhmoN ka ..namakdaaN hona

Ghol di waqt ne shabnam ke pyaaloN meiN sharaab
Gham e doraaN meiN mulawwis gham e janaaN hona

Gul khilayega yaqeenan naya ................."Hadi " Koyi
Aik mazloom pe zaalim ka............ bahikhwaaN hona

Wednesday, 4 January 2012

"एक अधूरी किताब देता है "


"एक अधूरी किताब देता है "
----------------------------
जिंदगी का निसाब देता है 
एक अधूरी किताब देता है 

हसरतों को शबाब देता है 
उम्र भर का अज़ाब देता है 

वह मुझे इज्तिराब देता है 
बेवफा का खिताब देता है 

बाप कल पूछता था हमसे सवाल 
आज बच्चा जवाब देता है 

दे गया था तुम्हें जो कल खंजर 
"आज तुमको गुलाब देता है "

जिंदगी भर की तिश्नगी के लिए 
चंद कतरे शराब देता है 

छीन कर नूर मेरी आँखों से 
वह मुझे आफताब देता है 

आदमी है जवाबदेह रब का 
क्यूँ जहां को हिसाब देता है 

वक्त का इन्तेज़ार कर "हादी "
वक्त सबका जवाब देता है 
Zindgi ka nisaab deta hai
ek adhuri kitaab deta hai

hasratoN ko shabaab deta hai
umar bhar ka azaab deta hai 

wo mujhe ijtiraab deta hai
bewafa ka khitaab deta hai

Baap kal puchhta tha humse sawaal
aaj bachcha jawaab deta hai 

de gaya tha tumheN jo kal Khanjar
"Aaj tumko gulaab deta hai"

zindgi bhar ki tishnagi ke liye
chand qatre sharaab deta hai

chhin kar noor meri aankhoN se
wo mujhe aaftaab deta hai

aadmi hai jawaabdeh rab ka
kyuN jahaaN ko hisaab deta hai

Waqt ka intezaar kar "Hadi"
waqt sabka jawaab deta hai