Tuesday, 5 June 2012

जिंदगी मौत से भी सस्ती है

Har taraf aag si barasti hai
Zindgi Saaye ko tarasti hai

Din nigalta hai azdahe ki tarah
Raat naagin si mujhko dansti hai

KoshisheN sharmsaar haiN mujhse 
Meri taqdeer mujhpe haNsti hai 

Tere peroN meiN hai faraaz mera
mere kaandhe pe meri pasti hai

Zindgi pa ke ye sabaq payaa
zindgi maut se bhi sasti hai

Jism ka zaum toot jaata hai
qabr jab baazuoN meiN kasti hai

Sehma sehma hai shehre dil "Hadi"
Ujdi ujdi si dil ki basti hai 

Zindgi pa ke ye sabaq payaa
zindgi maut se bhi sasti hai

Jism ka zaum toot jaata hai
qabr jab baazuoN meiN kasti hai

Sehma sehma hai shehre dil "Hadi"
Ujdi ujdi si dil ki basti hai



---------------------------------


हर तरफ आग सी बरसती है 
जिंदगी साये को तरसती है 

दिन निगलता है अजदहे की तरह 
रात नागिन सी मुझको डंसती है 

कोशिशें शर्मसार हैं मुझसे 
मेरी तकदीर मुझपे हँसती है 

तेरे पैरों में है फराज़ मेरा 
मेरे काँधे पे मेरी पस्ती है 

जिंदगी पा के ये सबक पाया 
जिंदगी मौत से भी सस्ती है 

जिस्म का जौम टूट जाता है 
कब्र जब बाजुओं में कसती है 

सहमा सहमा है शहरे दिल "हादी "
उजड़ी उजड़ी सी दिल की बस्ती है