Wednesday 4 January 2012

"एक अधूरी किताब देता है "


"एक अधूरी किताब देता है "
----------------------------
जिंदगी का निसाब देता है 
एक अधूरी किताब देता है 

हसरतों को शबाब देता है 
उम्र भर का अज़ाब देता है 

वह मुझे इज्तिराब देता है 
बेवफा का खिताब देता है 

बाप कल पूछता था हमसे सवाल 
आज बच्चा जवाब देता है 

दे गया था तुम्हें जो कल खंजर 
"आज तुमको गुलाब देता है "

जिंदगी भर की तिश्नगी के लिए 
चंद कतरे शराब देता है 

छीन कर नूर मेरी आँखों से 
वह मुझे आफताब देता है 

आदमी है जवाबदेह रब का 
क्यूँ जहां को हिसाब देता है 

वक्त का इन्तेज़ार कर "हादी "
वक्त सबका जवाब देता है 
Zindgi ka nisaab deta hai
ek adhuri kitaab deta hai

hasratoN ko shabaab deta hai
umar bhar ka azaab deta hai 

wo mujhe ijtiraab deta hai
bewafa ka khitaab deta hai

Baap kal puchhta tha humse sawaal
aaj bachcha jawaab deta hai 

de gaya tha tumheN jo kal Khanjar
"Aaj tumko gulaab deta hai"

zindgi bhar ki tishnagi ke liye
chand qatre sharaab deta hai

chhin kar noor meri aankhoN se
wo mujhe aaftaab deta hai

aadmi hai jawaabdeh rab ka
kyuN jahaaN ko hisaab deta hai

Waqt ka intezaar kar "Hadi"
waqt sabka jawaab deta hai